Skip to main content

Tukron Mai bikhra Howa Kisi Ka jigar Dikhayenge

Tukron Mai bikhra Howa Kisi Ka jigar Dikhayenge
Kabhi Ana Hamari Basti Tumhe Apna Ghar Dikhayenge
Hont Kaanp Jate Hain Thartharati Hai Zuban
Tote Dil Se Nikli Hui Duaon Ka Asar Dikhayenge
Aik Pohanch paata Nahi Ek Aur Chalak Paata Hai
Palkon Se Daman Tak Ashkon Ka Safar Dikhayenge
Kahin Tasveer hai teri Kahin Likha Hai tera Naam
Mandar masjid Jitna Pak Ek Dewar o dar Dikhayenge
Aksar takti Rehti Hai Sunsaan Raaahon Ko
Darwaze Pe Bethi Hui Burhi Hochuki nazar Dikhayenge
Kabhi Ana Hamari Basti Tumhe Apna Ghar Dikhayenge

Comments

Popular posts from this blog

Maine usay parhaya likhaya qabil banaya

Maine usay parhaya likhaya qabil banaya ab wo itna qabil hai ke mai ab uske qabil nahi raha

Hamdardiyaan Khaloos Dilasay Tasaliyaan

Hamdardiyaan Khaloos Dilasay Tasaliyaan, Dil Tootnay Kay Bad TAmashay Boht Huay.!

Hon filhal khamosh to apni jeet mat samajhna

Hon filhal khamosh to apni jeet mat samajhna Zameen bhi sholay ughle gi jab aaya ruburu mai