Skip to main content

Posts

Showing posts from September, 2017

Meri Ankh Ne Ye Khawab Sajaya Kyun Hai

Meri Ankh Ne Ye Khawab Sajaya Kyun Hai Jo Kal Sirf Mera Tha Aaj Paraya Kyun Hai Jiske Taksh Ne Jala Diya Mere Jazbon Ko Wo Anso Meri Ankh Mai Aya Kyun Hai Mere Andar To Zabt Ka Pahaar Howa Karta Tha Phir Ye Shikwa Meri Zuban Par Aya Kyun Hai Jis Ko Mai Bhool Jane Ka Soch Kar Hi Mar Jaon Usne Khud Ko Na Mera Keh Kar Daraya Kyun Hai Tu Jo Ishara Kare To Jaan Bhi Hazir Hai Meri IS baat Ko Hans Kar Usne tala Kyun Hai

Abhi Suraj Nahi Dooba Zara Si Sham Hone Do

  Abhi Suraj Nahi Dooba Zara Si Sham Hone Do Mai kHud hi Loat Jaongi Mujhe Nakaam Hone Do Abhi Mujh Ko Nahi Karna Aitraaf e Shikast Mai Tasleem Karlongi Mujhe Nakaam Hone Do Meri Hasti Nahi Anmol Phir Bhi Bik Nahi Sakti Wafayen Bech Lena Par Zara Nelaam Hone Do Naye Aghaz Mai Hai Hosla Kyun Tor Bethe Ho Tum Sab Kuch Jeet Jaogay Zara Anjam Hone Do

Meri Ankhon Meri yaadon Meri baton Mai Tum Ho Bas

Meri Ankhon Meri yaadon Meri baton Mai Tum Ho Bas Mujhe Dunya Se Lena Kya Meri Dunya Tum Hi Ho Bas Raza Meri Tum Mat Pocho Meri Kyun Baat Karte Ho Mera Jeena Mera Marna Meri To Zaat Tum Ho Bas Mere Lafzon Ne Mujh Ko Hi Hazaron Dard De Daale Meri Khushiyun Ka Mehvar Tum Mere Adaab Tum Ho Bas Mai Khud Se Door Hon Kitni Khud Hi Se Bhagti Kyun Hon Kahin Jana Nahi Mujh Ko Meri Manzil Tum Hi Ho Bas Agar Tujhko gawara Ho To Mujhse Door Mat Jana Mere Sare Sawalon Ke jawabon Mai Tum Hi Ho Bas Qasam Us Zaat Ki Mujh Ko Kabhi Bhoolongi Na Tujhko Mai Zinda Hon Yahan Jab Tak Waja Jeene Ki Tum Ho Bas Meri Ankhon Meri yaadon Meri baton Mai Tum Ho Bas Mujhe Dunya Se Lena Kya Meri Dunya Tum Hi Ho Bas

Koi Inj Da Sajda lab Javay

Koi Inj Da Sajda lab Javay Mai Hath Uthawan Rab Man Javay

Dekha Jo Tera Aks Jab Apne Wajood Mai

Dekha Jo Tera Aks Jab Apne Wajood Mai Aisa Mai Khud Ko Acha Laga Ke Bas

Khuli Ankhon Se Ek khawab Dekha Hai

Khuli Ankhon Se Ek khawab Dekha Hai Maine Tumhe Apne Saath Dekha Hai

Mat Pocho Kaise Guzarta Hai

Mat Pocho Kaise Guzarta Hai Har Pal Tere Bina Kabhi Bat Karne Ki Hasrat Kabhi Dekhne Ki Tammanna

Haye Pocho Na Tasawwar Ke Maze

Haye Pocho Na Tasawwar Ke Maze Unko Pehlon Mai Liye Bethe Hain

Mai Sheesha Hon Isliye kamzarf Logon Ko Chubhta Hon

Mai Sheesha Hon Isliye kamzarf Logon Ko Chubhta Hon Mujh Mai Apna Aks Dekh Kar Apni Auqaat Naap Lete Hain

Kaash Aisi Bhi Koi Khobsorat Raat Ho

Kaash Aisi Bhi Koi Khobsorat Raat Ho Chand Aasman Par Ho Or Tu Mere Sath Ho

Aapne keh Diya Jisay Apna

Aapne keh Diya Jisay Apna Wo To Sunte Hi Mar Gaya Hoga

Koi Dass bahana Way Sajna

Koi Dass bahana Way Sajna Teri Deed Hovay Naal Eid hovay

Lazzat e Qurb Rahi Shokh e Wisaal Rahi

Lazzat e Qurb Rahi Shokh e Wisaal Rahi Tumhare Sath Jo Guzri ghari Kamaal Rahi Raha Na Hosh e khudi Na Giraft Lafzon Par Khamoshi Guftugu Main Mehv e Wajad o Haal Rahi Tumhari Chah Mai Diwaan Bhi Agar Likh Don Samajhna Baat Phir Bhi Maine Khaal Khaal Kahi Nahi hargiz Mujhe gawara Tera Sar Kham Ho Kabhi Pas e junoon Har Ek Dushmano Ki Chaal Rahi Tumhara Hukam Ho Or radd Karon Mai Na Mumkin Kabhi Bhi Aisi Nahi Hai Meri Majaal Rahi

Tukron Mai bikhra Howa Kisi Ka jigar Dikhayenge

Tukron Mai bikhra Howa Kisi Ka jigar Dikhayenge Kabhi Ana Hamari Basti Tumhe Apna Ghar Dikhayenge Hont Kaanp Jate Hain Thartharati Hai Zuban Tote Dil Se Nikli Hui Duaon Ka Asar Dikhayenge Aik Pohanch paata Nahi Ek Aur Chalak Paata Hai Palkon Se Daman Tak Ashkon Ka Safar Dikhayenge Kahin Tasveer hai teri Kahin Likha Hai tera Naam Mandar masjid Jitna Pak Ek Dewar o dar Dikhayenge Aksar takti Rehti Hai Sunsaan Raaahon Ko Darwaze Pe Bethi Hui Burhi Hochuki nazar Dikhayenge Kabhi Ana Hamari Basti Tumhe Apna Ghar Dikhayenge