Skip to main content

Ye Naam Mumkin Nahi Rahay Ga...

Ye Naam Mumkin Nahi Rahay Ga, Muqaam Mumkin Nahi Rahay Ga
Gharoor Lehjay Mein Aa Gaya Tou Kalaam Mumkin Nahi Rahay Ga

Ye Barf Mausam Jo Sheher-e-Jaa.n Mein Kuch Aur Lamhay Theher Gaya Tou
Lahoo Ka Dil Ki Kisi Gali Mein Muqaam Mumkin Nahi Rahay Ga

Tum Apni Saanson Se Meri Saansain Alag Tou Karnay Lagay Ho Laikin
Jo Kaam Aasaan Samajh Rahay Ho Wo Kaam Mumkin Nahi Rahay Ga

Wafaa Ka Kaaghaz Tou Bheeg Jaye Ga Badgumaani Ki Baarishon Mein
Khaton Ki Baatain Tou Khwaab Hon Gi Payaam Mumkin Nahi Rahay Ga

Mein Jaanti Hun Mujhe Yaqeen Hai Agar Kabhi TU Mujhe Bhula De
Tou Teri Aanhkon Mein Roshni Ka Qayaam Mumkin Nahi Rahay Ga

Ye Ham Mohabbat Mein La Ta’alluq Se Ho Rahay Hain Tou Dekh Laina
Duaaein Tou Khair Kon De Ga Salaam Mumkin Nahi Rahay Ga

Comments

Popular posts from this blog

Maine usay parhaya likhaya qabil banaya

Maine usay parhaya likhaya qabil banaya ab wo itna qabil hai ke mai ab uske qabil nahi raha

Hamdardiyaan Khaloos Dilasay Tasaliyaan

Hamdardiyaan Khaloos Dilasay Tasaliyaan, Dil Tootnay Kay Bad TAmashay Boht Huay.!

Hon filhal khamosh to apni jeet mat samajhna

Hon filhal khamosh to apni jeet mat samajhna Zameen bhi sholay ughle gi jab aaya ruburu mai