Skip to main content

Posts

Showing posts from December, 2017

Aye Guzre Baras Bata Tujhe Bhoolon Kaise

Aye Guzre Baras Bata Tujhe Bhoolon Kaise Tere Lamhon Ne Mere Barson Ki rafaqat Cheeni Aaj Ek Or Baras Beet Gaya Uske Bagair Jis Ke Hote Howe Hote Thai Zamane Mere Ek Ajnabi Ke Hath Mai Dekar Hamara Hath Lo Sath Chorne Laga Akhir Ye Saal Bhi Mujh se Bichar Gaya Jo Guzry Saal ki Tarha, Is ka Bhi Haal ho ga Mere Haal ki Tarha, Aya Nahi Wo Reh gaye Rasty Sajy huwe, Ye Saal Bhi Guzar Gaya Her Saal ki Tarha Na Koi Ranj Ka Lamha Kisi Ke Pas Aye KHUDA Kare Naya Saal Sab Ko Raas Aye

Ab Yaad Dilayen Kia Tum Ko

Ab Yaad Dilayen Kia Tum Ko Ye Saal Bhi Aakhir Beet Gaya Aur Apna Bhi Koi Doosh Nahi Ye Bazi Bhi Jag Jeet Gaya Wo Sard Hawain Ab Bhi Hain Rangeen Fizain Ab Bhi Hain We Bheege Bheege Pani Ki Pur Shoor Sadain Ab Bhi Hain Mein Ab Bhi Udher Ko Jata Hun Aur Dil Apna Sulgata Hun Ab Tum Nahi Hote Sath Mere Aur Hote Hain Khali Haath Mere Pur Shor Sadain Poochti Hain Wo Sard Hawain Poochti Hain Wo Kahan Gaya Sathi Tera? Kia Phir Ye Zamana Jeet Gaya? Ye Saal Bhi Aakhir Beet Gaya Ab Yaad Dilayen Kia Tum Ko

jab tassawar mera chupke se tujhe choo aaye

jab tassawar mera chupke se tujhe choo aaye apni har sans se mujhko teri KHUSHBOO aaye mashghala ab hai mera chnd ko taktte rehna raat bhar chain na mujhko kisi pehloo aaye pyaar ne hum mein koi farq na chorha baqi jheel mein aks to mera ho nazar tu aaye jab kabhi gardish e dauran ne sattaya mujhko meri jaanib tere phaile huye baazoo aaye jab bhi socha ke shab e hijjar na ho gi roshan mujhko samjhane teri yaad ke jugnu aaye uss ke lehje ka assar to hai badi baat QATEEL wo to aankhon se bhi karta hua jadoo aaye  

December Phir Udaas Hai

Ajnabi Si Raahon Mein Door Tak.. Nigaahon Mein Be-Rukhi Ka Mausam Hai. Aaj Phir Nigaahon Ko, Beete Pal Ki Pyaas Hai. Phir Reha Hun Dar-Ba-dar Mojzey Ki Aas Hai.. Aisa Lagta Hai Jaise.. December Phir Udaas Hai.. Baat Toh Kare Koi, Saath Toh Chale Koi, Khaamoshi Ka Pehra Hai Zakhm Dil Ka Gehra Hai Kisi Bahut Apne Ki Ab Mujhe Talaash Hai. Aisa Lagta Hai Jaise.. December Phir Udaas Hai