Skip to main content

Posts

Showing posts from November, 2017

DECEMBER JAB BHI AATA HAI

DECEMBER JAB BHi AATA HAi wo pagli phir se beetay mosam ko yad krti hai Purane cards parhti hai Ke jis main Usne likha tha Mai LOTOON GA DECEMBER Mai Naye kaprey baNati hai wo sara ghar sajati hai DECEMBER ke har aik diN ko wo giN gin kar bitati hai junhi 15 guzarti hai wo kuch kuch toot jati hay magar phir b poraNi albums ko khol ker maazi ko bolati he Nahi maloom ye oss ko K beete waqt ki khoshiyaaN bohot takleef deti haiN mehiz dil ko jalati haiN yooN hi diN beet jate haiN DECEMBER lot jata he magr wo khosh feham larki dobara se caleNdar maiN DECEMBER k mahiNe k safey ko mor ker phir se DECEMBER k sehar maiN dob jati he k akhir os Ne likha tha MAiN LOTOON GA DECEMBER MAiN

Koi Fariyaad Tere Dil Mein Dabi Ho Jaise

Koi Fariyaad Tere Dil Mein Dabi Ho Jaise Tune Aankhon Se Koi Baat Kahi Ho Jaise Jaagte-Jaagte Ik Umr Kati Ho Jaise Jaan Baki Hai Magar Saans Ruki Ho Jaise Har Mulakaat Pe Mehsoos Yahi Hota Hai Mujhse Kutch Teri Nazar Pooch Rahi Ho Jaise Raah Chalte Hue Aksar Ye Gummaan Hota Hai Vo Nazar Chup Ke Mujhe Dekh Rahi Ho Jaise Ek Lamhe Mein Simat Aaya Hai Sadiyun Ka Safar Zindagi Tez Bahut Tez Chali Ho Jaise Is Tarah Pehroo.N Tujhe Soochta Rehta Hoon Main Meri Har Saans Tere Naam Likhi Ho Jaise