Skip to main content

Posts

Showing posts from August, 2017

Nazar Teri Yun Utaar jayen

Nazar Teri Yun Utaar jayen Ke khud Ko Sadqay Mai Waar jayen So Ab Anaon Ko Dafan Karke Kisi Ke Aage To Haar jayen Jo Zindagani Ke Pal Bache Hain Wo Hans Hansa Kar Guzaar jayen Na Aise Rotho Khayal Karlo Hamain Ye Lamhe Na Maar Jayen Udas Hokar Bhi Kya Mila Hai Chalo udasi Ke Paar jayen

Umer Se Rattjaga Nahi Jata

Umer Se Rattjaga Nahi Jata Khawab Ka Silsila Nahi Jata Gark Hon Ek Hi Baar Is Ghum Mai Thora Thora Mara Nahi Jata Chal Nikalta Hon Be Khayali Mai Jis Taraf Rasta Nahi Jata Phir Wo Ghum Ankh Se Tapakta Hai Jo Zuban Se Kaha Nahi Jata Itna Masroof Hon Muhabbat Mai Aur Kuch Bhi Kiya Nahi Jata Admi Jitni Bhi Ozar Karle Rog Is Hijar Ka Nahi Jata Tegh Ke Waar Bhi Mai Seh Lon Mohsin Talkh Lehja Magar Saha Nahi jata

Aaj Hum Tumko Chalo Saf Bata Dete Hain

Aaj Hum Tumko Chalo Saf Bata Dete Hain Dil e Gustakh Ka Har Raaz Suna Dete Hain Shiddat e Dard Ne Mujhe Kya Se Kya Bana Diya Halat e Zar Tumko Bhi Suna Dete Hain Khamosh Darya Ki Tarah Behti Rehti Hon Bewaja Ghum Ke Tufaan Mujhe Saza Kyun Dete Hain Ankhen Ashkon Se Barh Jayen To Selaab Ashk Mai Sab Shikayat Baha Dete Hain Ek Raaz Chupa Hai To Chupa Rehne Do Unke Samne Hum Siskiyun Mai Bhi Muskura Dete Hain Aaj Hum Tumko Chalo Saf Bata Dete Hain Dil e Gustakh Ka Har Raaz Suna Dete Hain

Torr Dalen Qalam To Behtar Hai

Torr Dalen Qalam To Behtar Hai Na Likhen Raaz e Ghum To Behtar Hai Yun Bhi hum Ko Na Choregi Dunya Ap Karlen Sitam To Behtar Hai Kufar hai Hum Unhe Chahen Log Poje Sanam To Behtar Hai Ishq Marta To Kam Hi Lekin Ishq Maare Bhi Kam To Behtar Hai Daad Milti Hai Wo Sune Na Sune Aake Zair o Bam To Behtar Hai Na Karo Tauba Dil Dukhane Se Ab Na Tote Qasam To Behtar Hai Dil Ka Qissa Wohi Qadeemi Hai Na Suno Mohtram To Behtar Hai Torr Dalen Qalam To Behtar Hai Na Likhen Raaz e Ghum To Behtar Hai

Kabhi Khamosh betho Gay

Kabhi Khamosh betho Gay Kabhi Kuch Gungunao Gay Mai Utna Yaad Aaongi Mujhe Jitna Bhulao Gay Koi Jab Poch Bethega Khamoshi Ka Sabab Tumse Bohat Samjhana Chaho Gay Magar Samjha Na Pao gay Kabhi Dunya Mukammal Ban Ke Ayegi Nigahon Mai Kabhi Meri Kami Dunya Ki Har Shay Mai Pao Gay Kahin Par Bhi Rahen Hum Aur Tum Muhabbat Phir Muhabbat Hai Hum Utna Yaad Ayengay Hame Jitna Bhulao Gay Kabhi Khamosh betho Gay Kabhi Kuch Gungunao Gay

Kyun Itna dard dete Ho

Kyun Itna dard dete Ho Kyun Yun Din Bhar Satate ho Palat Hum Na Ayenge Na Phir Tum Ko Satayenge Hamare Baad Jo Wo Pal Tumhe Jab Yaad Ayenge Bohat Tumko Rulayenge Satayenge Jagayenge Abhi Shehar e Muhabbat Mai Mera Koi nahi Jaana Meri Dunya Mai Ajao Kahin Rooh Mai Sama Jao Tumhari Yaad Mai Jalti Hon Kyun Itna Rulate Ho Teri Chokhat Pe Aye Hain Tumhe Paa Kar Hi Jayenge Agar Kuch Ranjishen Hongi Hum Unko Bhi Mitayenge Abhi TumKo bulate Hain Tumhi Pe Haq jatate Hain Mere Is Pyar Ko jaana Bolo Kaise Bhulaogay Duayen Jab Bhi Mangi Hain Khuda Se Tumko Manga Hai Agar Tum Na Howe Mere To Phir Hum Jee Na Payenge Palat Hum Na Ayenge Na Phir Tum Ko Satayenge Na Phir Tumko Jagayenge Na Phir Tumko Manayenge Kyun Itna Dard Dete Ho Kyun Itna Dard Dete Ho