aankh jo aaj phir teri nam hai ye main hoon ya koi naya ghum hai zakham ab tak hain kyun haray tere tum to kehte the waqat marham hai umar thori hai is musafat ko fasla do qadam se go kam hai bad muddat pata laga tum the main to samjha k jo gaya daam hai tum jo hote to phir dawa bante ab yahan kon ibn e mariyam hai meherban thi hayat tere tak bad tere wo mujh py bharham hai